Bitcoin ne $122K ka all-time high hit kar diya hai aur Nvidia ne bhi recently $4 tn market cap ke saath ek historic level cross kar diya ….
Aur inn dono ki rally ka sabse bada beneficiary kon bana? “AI crypto sector”…. Aur yahi reason hain ki — TAO aur IP jaise AI coins ne last week 30–35% tak ke returns diye…
Kya aapne ye opportunity miss krdi?
Bitcoin $122K hit krne aur Jensen Huang-led tech giant Nvidia ke $4tn market cap cross karne ke baad, AI coins mei pichhle hafte ek significant rally aayi.
Last week tak total AI coins ki market cap $27bn thi, ab Nvidia aur Bitcoin ke momentum ke baad yeh jump karke $33bn hit kar gayi hai.
Lekin jaise he Bitcoin $117K tak decline hua, AI tokens bhi isse impact huye aur market cap $31bn tak decline ho gayi.
Toh wo kaun kaunse se important factors ya sentiment indicators hain jinhone is hafte ai coins market ko drive kiya? Aaiye dekhte hain aj ke iss khas show mein.
- Top AI Coins Performance Of The Week
- Bittensor’s Integration Of OpenAI-compatible Models
- ICP’s Caffeine AI Launch
- Injective Protocol Unveils INJ Staked ETF Filing
Pichhle 7 dinon mein AI coins ne double-digit returns diye.
Jaisa ki hum pehle bhi bata chuke hain, Nvidia ka performance hamesha se AI tokens ke liye sentiment driver raha hai.
Ab jab 9th July ko Nvidia ne $4tn market cap ka record banaya, toh TAO aur VIRTUAL ne is rally ko lead kiya aur wo bhi 9 to 10% tak jump ke saath.
Ek aur positive catalyst rahi Grayscale ki wo latest report, jisme AI-focused crypto assets ko future growth engine bataya gaya.
Report mein Bittensor ke TAO aur NEAR Protocol ke NEAR coin ka specific mention tha, aur filhaal dono hi market cap ke hisab se AI coin category ke top 2 players hain.
Grayscale ka kehna hai ki decentralised AI projects jaise TAO, Render, Fetch.ai aur Worldcoin ab centralized AI powerhouses ko challenge kar rahe hain.
Toh as an investor, aap bhi, inn projects ko ab long-term innovation bets ke roop mein dekh skte hain.
Ab specific coin rallies ki baat ki jaaye toh last 7 days mei TAO 31%, NEAR 18%, ICP 11%, RENDER 18%, FIL 11%, FET 3%, IP 37%, INJ 18% aur VIRTUAL coin 11% tak surge hue. Aur Story protocol ke IP aur Bittensor ke TAO ne iss rally ko lead kiya.
Lekin Bitcoin $117K tak slip hone se AI coins bhi impact hue hain aur major coins mein
5–6% tak decline dekha gaya hai.
Ab baat karte hain individual project updates ki….
Ab Bittensor ke network par Subnet 17 live ho chuka hai, jahan OpenAI-compatible models run kiye ja sakte hain. Matlab, ab developers GPT-style AI agents ko decentralised network ke through deploy kar sakte hain, bina kisi centralized infrastructure ke. Ye interoperability milestone AI-native blockchain ecosystem ke liye bahut bada step hai. Bittensor ek decentralised machine learning protocol hai jo AI models ko blockchain ke through train aur reward karta hai. Iska core vision hai current centralized AI domination ko democratize karna jiske chalte ek decentralised AI platforms se developers jyada se jyada benefit le sake.
Iske saath hi, Bittensor DAO ne Ethereum Layer 2s, Arbitrum aur Base par TAO token bridges approve kiye hain. Ab across Ethereum Virtual Machine chains, Wrapped TAO DeFi tools aur governance systems mein use kiya ja sakega.
Aur toh aur ab TAO ne Nvidia-powered decentralized GPU compute network ke saath bhi partnership ki hai, jisme A100 aur H100 GPUs involved hain. Isse hoga ye ki ab network par large-scale AI training ho sakti hai.
iske saath hi Internet Computer Protocol ke ecosystem se bhi ek update hain.
ICP ne apna much-hyped Caffeine AI platform launch kiya hain jo ki ek AI-powered platform hai. Iss Caffeine AI platform per users apni natural language mein command dekar decentralized apps bana sakte hain. Ye apps smart contracts ke form mein ICP blockchain par deploy hote hain, jise canisters kaha jata hai. Matlab, bina coding jaane, sirf text prompts ke through full-fledged dApps banaye ja sakte hain aur wo bhi totally on-chain aur tamper-proof. Isiliye, caffeine AI platform ko AI platforms ke decentralisation ke liye ek radical catalyst mana ja raha hain.
ICP ne iss event ka nam he “Hello, Self-Writing Internet” rakhte hue 15th July ko San Francisco mein Caffeine AI Platform launch kiya. ICP ek Web3-native Layer 1 blockchain hai jo fully on-chain applications ko enable karne per kam kar rahi hain, wo bhi bina kisi centralized cloud infra ke.
Aur ab baat Injective ecosystem ki…
Humne apko last episode mei btaya tha ki ab AI coins mei institutional interest badhta ja raha hai.
Ab Injective ecosystem ne ek tweet mein kaha hain ki INJ Staked ETF file progress mei hai. Well, asset manager Canary Capital ne Injective ke Staked ETF ke liye file kiya hua hai jisme ETF directly INJ tokens stake karega and staking rewards generate karega. Matlab, ye ETF price tracking ke saath native yield bhi dega. Ab agar approval milta hai, toh INJ staking ke benefits ko traditional investors ke liye accessible banaya ja sakega wo bhi bina self-custody ya technical staking process ke.
Injective Protocol ek high-performance Layer 1 blockchain hai jo specifically Web3 finance applications ke liye design kiya gaya hai.
Toh jaisa ki Grayscale ki report mein AI-focused crypto assets ko future growth engine bataya gaya hain, as an investor, kadi research aur expert financial advice ke sath, apko bhi top AI coins jaise TAO, NEAR, ICP, IP aur Virtuals par nazar rakhni chahiye kyunki inn coins mei ab institutional interest kafi badh raha hai.
You need to login in order to Like
Leave a comment